Aye imaan walon! Adl aur insaaf per mazbooti se jam jaane waale aur khushnoodi maula me liye sachchi gawahi dene waale ban jaao, chahe wo khud tumhare apne khilaaf ho ya apne maa baap ke ya rishtedaaro ke, wo shakhs agar ameer ho to aur faqeer ho to dono ke saath Allah ko zyada talluq hai, isliye tum khwahish nafs ke peeche pad kar insaaf na chodd dena aur agar tum ne ghalat bayani ki ya gawahi dene se mukar gaye to jaan lo ki jo kuch tum karoge Allah ta'ala uss se poori tarah baa khabar hai.



