Saturday, 9 February 2019

Post ko padh kr share krna hargiz na bhoole
───────────────────────────
AR Rahman ki beti Khatija ne apne sar se lekar pair ke nakhun tak with face cover karke bollywood ke sabhi actor, director aur musician ke samne stage pe aa kar sab ko ISLAM ka PAIGHAM de gayi.

is tarah aane ki wajah se Aazad khyaal aur Secular ke dil o dimaag me aag lag gayi aur uske baap ko jabardasti hijab pahnane ke fatwe lagane lage.

📗 ye farq aata hai jab aurat khud se Quran samajh kar padhti hai, tab woh is debate se bahar aa jati hai ki Hijab me face cover karna hai ya nahi, jaisa ki aaj kal ki meri bahnein debate karti nazar aati hain, kaash woh ek baar Quran ko Tarjuma with Tafseer ke sath padh leti ek baar, no offence to those who don't cover face, they are too respected.

 👇🏻 reason behind reaction of liberal & feminist
💡• aaj main aapko batata hun kyun Hijab Secular aur Liberal ke aankhoan me nahi bhata ?

💡• Top 10 Cosmetic company jo sirf Skin Care ke products se pichle saal 400 Billion Dollar kamayi hain, ye to sirf America ki 10 company ki kamayi hai aur na jane har mulk me kitne local aur international company cosmetics tayyar karti hai aur woh kitna kamati aap khud andaza laga lijiye, ye Worldwide Trillion Thousands Dollar kamati hai aapse from other categories product such as Hair Shampoo, Fancy Jewellery aur Costume of all types.

💡• Aaj market me Aurat ke sar ke baal se le kal pair ke nakhun tak ke liye alag alag makeup ke hazar product hazar company ke maujood hain, aur jab ek aurat Hijab with face cover pahenne ka faisla karti hai to woh ye puri duniya me khule aam elaan karti hai ki main apni jooti se is Billion Dollar industry ko thukrati hun aur unke munh pe zordaar tamacha lagati hai aur elaan karti hun ki mera jism koi public property nahi hai jise har designer apne costume pahna kar aur har company ka product istemaal karne ke liye as experiment istemaal kiya jaye aur sath hi woh ye bhi elaan karti hai mera jism mardoan ki aankhoan ko thandak dene aur har tarah ke products bechne ke liye nahi banaya gya advertising ke zariye.

📌 Meri bahnoan se guzaarish hai woh hijab with face cover karein aur is Trillion Dollal  industry ko thukrane ka elaan karein.

You may Like :)

Brothers Corner

Subscribe by E-Mail

Enter your E-mail address:


1Path2Peace Archive